harim-e-husn se aankhon ke rabte rakhna
harīm-e-husn se āñkhoñ ke rābte rakhnā
tamām umr tahayyur ke dar khule rakhnā
hisār-e-ā.īna-o-ḳhvāb se nikalne tak
shikast-e-zāt kā manzar sambhāl ke rakhnā
ye bārgāh-e-mohabbat hai merī ḳhalvat hai
mire harīf qadam ehtiyāt se rakhnā
farāz-e-koh-e-shab-e-ġham se dekhnā hai use
mire ḳhudā mirī qismat meñ rat-jage rakhnā
girā diyā jise ik baar apnī nazroñ se
phir us ko ḳhvāb kī had se bhī kuchh pare rakhnā
harim-e-husn se aankhon ke rabte rakhna
tamam umr tahayyur ke dar khule rakhna
hisar-e-aina-o-KHwab se nikalne tak
shikast-e-zat ka manzar sambhaal ke rakhna
ye bargah-e-mohabbat hai meri KHalwat hai
mere harif qadam ehtiyat se rakhna
faraaz-e-koh-e-shab-e-gham se dekhna hai use
mere KHuda meri qismat mein rat-jage rakhna
gira diya jise ek bar apni nazron se
phir us ko KHwab ki had se bhi kuchh pare rakhna
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 227)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.