harim-e-naz kahan jalwa-gah-e-yar kahan
harīm-e-nāz kahāñ jalva-gāh-e-yār kahāñ
taḌap rahī hai koī barq bār-bār kahāñ
haram-o-dair-o-kalīsā kī ḳhaak chhān aa.e
chalī hai le ke tū ab justujū-e-yār kahāñ
hamāre dam se hai raunaq tumhārī mahfil kī
hamīñ na hoñge to jashn-e-salīb-o-dār kahāñ
kuchh aur taaza sitam kī bahār aane do
chaman hai dil kā abhī 'shauq' lāla-zār kahāñ
harim-e-naz kahan jalwa-gah-e-yar kahan
taDap rahi hai koi barq bar-bar kahan
haram-o-dair-o-kalisa ki KHak chhan aae
chali hai le ke tu ab justuju-e-yar kahan
hamare dam se hai raunaq tumhaari mahfil ki
hamin na honge to jashn-e-salib-o-dar kahan
kuchh aur taza sitam ki bahaar aane do
chaman hai dil ka abhi 'shauq' lala-zar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.