harim-e-zat ki har rut manae mere liye
harim-e-zat ki har rut manae mere liye
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
harīm-e-zāt kī har rut manā.e mere liye
vo ro.e mere liye muskurā.e mere liye
zamāna us ko hamesha lagā.e zaḳhm pe zaḳhm
zamāna us ko hamesha satā.e mere liye
maiñ shahr chhoḌ ke jaane kī jab bhī baat karūñ
vo haath joḌ ke mujh ko manā.e mere liye
use kaho hai mohabbat meñ shirk kufr-e-azīm
vo apnā aap bhī ab bhuul jaa.e mere liye
qadam qadam pe jalātā rahūñ lahū ke charāġh
qadam qadam pe vo maqtal sajā.e mere liye
usī ko shauq thā sab se mujhe milāne kā
ab apnī aañkh kā kājal bahā.e mere liye
'na.īm' us ko zarūrat mirī kabhī na paḌe
vo milne aa.e mujhe to bas aa.e mere liye
harim-e-zat ki har rut manae mere liye
wo roe mere liye muskurae mere liye
zamana us ko hamesha lagae zaKHm pe zaKHm
zamana us ko hamesha satae mere liye
main shahr chhoD ke jaane ki jab bhi baat karun
wo hath joD ke mujh ko manae mere liye
use kaho hai mohabbat mein shirk kufr-e-azim
wo apna aap bhi ab bhul jae mere liye
qadam qadam pe jalata rahun lahu ke charagh
qadam qadam pe wo maqtal sajae mere liye
usi ko shauq tha sab se mujhe milane ka
ab apni aankh ka kajal bahae mere liye
'naim' us ko zarurat meri kabhi na paDe
wo milne aae mujhe to bas aae mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.