haris ho na jahan mein na apna ji bhaTka
haris ho na jahan mein na apna ji bhaTka
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
harīs ho na jahāñ meñ na apnā jī bhaTkā
zabāñ bigaḌ ga.ī gar us ko aa gayā chaTkā
jo shāhrāh gayā kuchh nahīñ huā khaTkā
bhaTak rahā hai musāfir huā jo oghaT kā
qabā pahante jo barham huā vo chust-qabā
diyā hai chīn-e-jabīñ ne bhī saath silvaT kā
yahāñ bhī ishva-e-ra.anā khaḌī lagātā hai
vo bahr-e-husn huā āshnā jo karvaT kā
hamārī vaz.a se āshufta ho gayā majnūñ
hameñ jo najd ke ban meñ jinhoñ ne de paTkā
nazar huī hai pareshāñ hijāb meñ hai vo ruḳh
tilism khul nahīñ saktā hai un ke ghuñghaT kā
kiyā hai zulf-o-ruḳh-o-chashm ne jo sar-gashta
nikal ke ghar se mirā dil tirāhe meñ bhaTkā
kise hai taab jo dekhe nigāh-e-qahr-ālūd
koī udhar ko chalā aur koī idhar saTkā
hamāre ashk-e-musalsal zarā nahīñ rukte
ye ghaaT ḳhuub ravāñ ho rahā hai panghaT kā
hamārā rañg-e-tabī.ī hai sulh-e-kul mashrab
pasand ham ko nahīñ qāfiya bhī jhanjhaT kā
kaheñge 'sāqī'-e-sarmast sher-e-tar kyā ham
hamāre hisse meñ aayā hai jaam talchhaT kā
haris ho na jahan mein na apna ji bhaTka
zaban bigaD gai gar us ko aa gaya chaTka
jo shahrah gaya kuchh nahin hua khaTka
bhaTak raha hai musafir hua jo oghaT ka
qaba pahante jo barham hua wo chust-qaba
diya hai chin-e-jabin ne bhi sath silwaT ka
yahan bhi ishwa-e-rana khaDi lagata hai
wo bahr-e-husn hua aashna jo karwaT ka
hamari waza se aashufta ho gaya majnun
hamein jo najd ke ban mein jinhon ne de paTka
nazar hui hai pareshan hijab mein hai wo ruKH
tilism khul nahin sakta hai un ke ghunghaT ka
kiya hai zulf-o-ruKH-o-chashm ne jo sar-gashta
nikal ke ghar se mera dil tirahe mein bhaTka
kise hai tab jo dekhe nigah-e-qahr-alud
koi udhar ko chala aur koi idhar saTka
hamare ashk-e-musalsal zara nahin rukte
ye ghaT KHub rawan ho raha hai panghaT ka
hamara rang-e-tabii hai sulh-e-kul mashrab
pasand hum ko nahin qafiya bhi jhanjhaT ka
kahenge 'saqi'-e-sarmast sher-e-tar kya hum
hamare hisse mein aaya hai jam talchhaT ka
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. ebook-20 page-17)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.