hasad kisi se na ranj-o-malal rakhte hain
hasad kisi se na ranj-o-malal rakhte hain
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
hasad kisī se na ranj-o-malāl rakhte haiñ
ham apnī zaat adīm-ul-misāl rakhte haiñ
kisī ke aib pe Tiktī nahīñ hamārī nigāh
nazar meñ husn to dil meñ jamāl rakhte haiñ
hamārī baat kisī ko girāñ na ho jaa.e
kahīñ pe boleñ to is kā ḳhayāl rakhte haiñ
huzūr-e-yār bhalā kaise arz-e-hāl kareñ
ham aisī taab na aisī majāl rakhte haiñ
use ubharne kā mauqa kabhī nahīñ dete
vagarna virse meñ ham bhī jalāl rakhte haiñ
ye aur baat ki anjāne laġhzisheñ ho jaa.eñ
magar shu.ūr-e-harām-o-halāl rakhte haiñ
sila vafāoñ kā kyoñ bevafā.ī hotā hai
tumhāre sāmne ham ye savāl rakhte haiñ
uchhal ke chalte nahīñ aur reñgte bhī nahīñ
hamesha chaal meñ ham e'tidāl rakhte haiñ
hamāre chehre ko har ek paḌh nahīñ saktā
ham apne aap meñ ye bhī kamāl rakhte haiñ
vo jis ne chhīnī matā-e-hayāt ai 'bebāk'
ham us se bhī to ta.alluq bahāl rakhte haiñ
hasad kisi se na ranj-o-malal rakhte hain
hum apni zat adim-ul-misal rakhte hain
kisi ke aib pe Tikti nahin hamari nigah
nazar mein husn to dil mein jamal rakhte hain
hamari baat kisi ko giran na ho jae
kahin pe bolen to is ka KHayal rakhte hain
huzur-e-yar bhala kaise arz-e-haal karen
hum aisi tab na aisi majal rakhte hain
use ubharne ka mauqa kabhi nahin dete
wagarna wirse mein hum bhi jalal rakhte hain
ye aur baat ki anjaane laghzishen ho jaen
magar shuur-e-haram-o-halal rakhte hain
sila wafaon ka kyon bewafai hota hai
tumhaare samne hum ye sawal rakhte hain
uchhal ke chalte nahin aur rengte bhi nahin
hamesha chaal mein hum e'tidal rakhte hain
hamare chehre ko har ek paDh nahin sakta
hum apne aap mein ye bhi kamal rakhte hain
wo jis ne chhini mata-e-hayat ai 'bebak'
hum us se bhi to talluq bahaal rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.