hasb-e-wada mujhse milne wo kabhi aaya nahin
hasb-e-va.ada mujh se milne vo kabhī aayā nahīñ
is se baḌh kar aur kuchh bhī hausla-farsā nahīñ
hijr thā is kā bahut sabr-āzmā mere liye
ġham se patthar ho gayā lekin kabhī royā nahīñ
da.avat-e-nazzāra de kar aisā vo ġhā.eb huā
merī āñkhoñ ne dobāra phir use dekhā nahīñ
kāTne ko dauḌte haiñ mujh ko ye dīvār-o-dar
jaise maiñ tanhā huuñ vaise koī bhī tanhā nahīñ
murta.ish rahtā hai ab har dam mirā tār-e-vajūd
kyā guzartī hai mire dil par kabhī kahtā nahīñ
kar rahā huuñ apnī ye tarhī ġhazal nazr-e-'munīr'
aisā shā.ir aaj tak maiñ ne kabhī dekhā nahīñ
kar ke is ke va.ada-e-fardā pe 'barqī' e'tibār
maiñ ka.ī din tak musalsal rāt-bhar soyā nahīñ
hasb-e-wada mujh se milne wo kabhi aaya nahin
is se baDh kar aur kuchh bhi hausla-farsa nahin
hijr tha is ka bahut sabr-azma mere liye
gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
dawat-e-nazzara de kar aisa wo ghaeb hua
meri aankhon ne dobara phir use dekha nahin
kaTne ko dauDte hain mujh ko ye diwar-o-dar
jaise main tanha hun waise koi bhi tanha nahin
murtaish rahta hai ab har dam mera tar-e-wajud
kya guzarti hai mere dil par kabhi kahta nahin
kar raha hun apni ye tarhi ghazal nazr-e-'munir'
aisa shair aaj tak main ne kabhi dekha nahin
kar ke is ke wada-e-farda pe 'barqi' e'tibar
main kai din tak musalsal raat-bhar soya nahin
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.