hashr par wada-e-didar hai kis ka tera
hashr par va.ada-e-dīdār hai kis kā terā
laakh inkār ik iqrār hai kis kā terā
na davā se use matlab na shifā se sarokār
aise ārām meñ bīmār hai kis kā terā
laakh parde meñ nihāñ shakl hai kis kī terī
jalva har shai se numūdār hai kis kā terā
aur pāmāl-e-sitam kaun hai tū hai 'beḳhud'
us sitamgar se sarokār hai kis kā terā
hashr par wada-e-didar hai kis ka tera
lakh inkar ek iqrar hai kis ka tera
na dawa se use matlab na shifa se sarokar
aise aaram mein bimar hai kis ka tera
lakh parde mein nihan shakl hai kis ki teri
jalwa har shai se numudar hai kis ka tera
aur pamal-e-sitam kaun hai tu hai 'beKHud'
us sitamgar se sarokar hai kis ka tera
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 185)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.