hashr-saman junun-e-shahr mein hun
hashr-sāmāñ junūn-e-shahr meñ huuñ
maiñ kisī kī nigāh-e-qahr meñ huuñ
āsmāñ se sahīfe utre haiñ
raat ke ik qadīm pahr meñ huuñ
duniyā vaalo us ik nazar ke tufail
jaisā bhī huuñ maiñ aaj dahr meñ huuñ
hai hifāzat se mujh ko rakkhe hue
rāt-din maiñ to 'aks-e-mehr meñ huuñ
merā us kā muqābla kaisā
vo samandar meñ hai maiñ nahr meñ huuñ
zindagī kāTnī hai yūñhī 'umar'
gaañv meñ rah ke tere shahr meñ huuñ
hashr-saman junun-e-shahr mein hun
main kisi ki nigah-e-qahr mein hun
aasman se sahife utre hain
raat ke ek qadim pahr mein hun
duniya walo us ek nazar ke tufail
jaisa bhi hun main aaj dahr mein hun
hai hifazat se mujh ko rakkhe hue
raat-din main to 'aks-e-mehr mein hun
mera us ka muqabla kaisa
wo samandar mein hai main nahr mein hun
zindagi kaTni hai yunhi 'umar'
ganw mein rah ke tere shahr mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.