hasin aisa tha wo ki paDte nazar gaya dil
hasīn aisā thā vo ki paḌte nazar gayā dil
phir us ne ik din zabān kholī utar gayā dil
badalte mausam se lutf-andoz ho rahā thā
achānak us kā ḳhayāl aaya to Dar gayā dil
shurūa din se hī ham ne majnūñ kī pairvī kī
shurūa din se udhar chale ham jidhar gayā dil
zarā mohabbat kī maiñ ne miqdār kyā baḌhā.ī
vo tang-dil thā so us kā jaldī se bhar gayā dil
hasin aisa tha wo ki paDte nazar gaya dil
phir us ne ek din zaban kholi utar gaya dil
badalte mausam se lutf-andoz ho raha tha
achanak us ka KHayal aaya to Dar gaya dil
shurua din se hi hum ne majnun ki pairwi ki
shurua din se udhar chale hum jidhar gaya dil
zara mohabbat ki main ne miqdar kya baDhai
wo tang-dil tha so us ka jaldi se bhar gaya dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.