Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasin aur us pe KHud-bin wo sitam-gar yun bhi hai yun bhi

Qaisar Haideri Dehlvi

hasin aur us pe KHud-bin wo sitam-gar yun bhi hai yun bhi

Qaisar Haideri Dehlvi

MORE BYQaisar Haideri Dehlvi

    hasīn aur us pe ḳhud-bīñ vo sitam-gar yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    nazāra qabza-e-qudrat se bāhar yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    jau ye bismil hayā se hai to vo majrūh dekhe se

    nigāh-e-nāz us qātil ḳhanjar yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    jabīñ us dar pe hai vo dar hai ūñchā arsh-e-a.azam se

    buland auj-e-surayyā se muqaddar yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    idhar vo mujh se barham haiñ udhar māyūs-e-nazzāra

    ki merī umr labrez sāġhar yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    aqīdat tujh se bhī hai bai.at-e-dast-e-subū bhī hai

    jo saaqī riñd hai haqdār-e-kausar yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    mirī manzil pahlā naam duniyā dūsrā diiñ hai

    ki rāh-e-ishq mere haq maiñ behtar yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    maiñ ḳhvāhir-zāda-e-haidar bhī huuñ shāgird-e-haidar bhī

    mirā mulk-e-suḳhan pe qabza 'qaisar' yuuñ bhī hai yuuñ bhī

    hasin aur us pe KHud-bin wo sitam-gar yun bhi hai yun bhi

    nazara qabza-e-qudrat se bahar yun bhi hai yun bhi

    jau ye bismil haya se hai to wo majruh dekhe se

    nigah-e-naz us qatil ki KHanjar yun bhi hai yun bhi

    jabin us dar pe hai wo dar hai uncha arsh-e-azam se

    buland auj-e-surayya se muqaddar yun bhi hai yun bhi

    idhar wo mujh se barham hain udhar mayus-e-nazzara

    ki meri umr ka labrez saghar yun bhi hai yun bhi

    aqidat tujh se bhi hai baiat-e-dast-e-subu bhi hai

    jo saqi rind hai haqdar-e-kausar yun bhi hai yun bhi

    meri manzil ka pahla nam duniya dusra din hai

    ki rah-e-ishq mere haq main behtar yun bhi hai yun bhi

    main KHwahir-zada-e-haidar bhi hun shagird-e-haidar bhi

    mera mulk-e-suKHan pe qabza 'qaisar' yun bhi hai yun bhi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now