hasin hai wahi jis ki sirat hasin hai
hasīñ hai vahī jis kī sīrat hasīñ hai
vo zāhir hai kyā jis kā bātin nahīñ hai
milī ustuvārī usī ke amal ko
yaqīñ jis kā mohkam hai azm āhanīñ hai
uḌe laakh auj-e-falak par ye insāñ
maqām āḳhir-e-kār zer-e-zamīñ hai
tirā naam taskīñ-dah-e-qalb-e-muztar
tirī yaad ārām-e-jān-e-hazīñ hai
gayā daur-e-ishq-o-javānī hamārā
magar dāġh-e-hasrat abhī dil-nashīñ hai
hasin hai wahi jis ki sirat hasin hai
wo zahir hai kya jis ka baatin nahin hai
mili ustuwari usi ke amal ko
yaqin jis ka mohkam hai azm aahanin hai
uDe lakh auj-e-falak par ye insan
maqam aaKHir-e-kar zer-e-zamin hai
tera nam taskin-dah-e-qalb-e-muztar
teri yaad aaram-e-jaan-e-hazin hai
gaya daur-e-ishq-o-jawani hamara
magar dagh-e-hasrat abhi dil-nashin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.