hasin hain kis qadar manzar mein KHud ko bhul jata hun
hasin hain kis qadar manzar mein KHud ko bhul jata hun
Arpit Sharma Arpit
MORE BYArpit Sharma Arpit
hasīñ haiñ kis qadar manzar meñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
tumhāre shahr meñ aa kar maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
nahīñ rahtā zarā bhī hosh mujh ko aane jaane kā
tumhāre paas meñ aa kar maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
maiñ kyā huuñ kaun huuñ rahtī nahīñ kuchh bhī ḳhabar mujh ko
tumhārī yaad meñ aksar maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
mirā sonā bhī kyā hai jāgnā kyā intizār-e-shab
paḌā rahtā hai ye bistar meñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
ye merā jism merī ruuh us ko sauñp dī maiñ ne
koī to hai mire andar maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
ajab sī ḳhud farāmoshī hai mujh par rāt-din taarī
mire ai dost paḌh mantar maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
na maiñ dīvāna farzāna na maiñ parvāna ai 'arpit'
ta.ajjub hai mujhe kyūñkar maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
hasin hain kis qadar manzar mein KHud ko bhul jata hun
tumhaare shahr mein aa kar main KHud ko bhul jata hun
nahin rahta zara bhi hosh mujh ko aane jaane ka
tumhaare pas mein aa kar main KHud ko bhul jata hun
main kya hun kaun hun rahti nahin kuchh bhi KHabar mujh ko
tumhaari yaad mein aksar main KHud ko bhul jata hun
mera sona bhi kya hai jagna kya intizar-e-shab
paDa rahta hai ye bistar mein KHud ko bhul jata hun
ye mera jism meri ruh us ko saunp di main ne
koi to hai mere andar main KHud ko bhul jata hun
ajab si KHud faramoshi hai mujh par raat-din tari
mere ai dost paDh mantar main KHud ko bhul jata hun
na main diwana farzana na main parwana ai 'arpit'
tajjub hai mujhe kyunkar main KHud ko bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.