hasin kaun hai husn-e-dawam kis ka hai
hasīn kaun hai husn-e-davām kis kā hai
zavāl jis ko nahīñ hai vo naam kis kā hai
ye mai-kada ye surāhī ye jaam kis kā hai
barā-e-bāda-kashāñ ehtimām kis kā hai
shab-e-firāq munavvar hai kis ke va.adoñ se
diloñ meñ aas kī sūrat qiyām kis kā hai
nahīñ hai koī agar sub.h ke pas-e-parda
to intizār hameñ vaqt-e-shām kis kā hai
azal se hai jo dil-e-kā.enāt kī dhaḌkan
hayāt-baḳhsh musalsal payām kis kā hai
jahāñ se ziist kī ra.anā.iyāñ nahīñ jātīñ
hayāt pūchh rahī hai nizām kis kā hai
hai kis kī zulf-e-mo.ambar kī baas phūloñ meñ
ḳhizāñ-badosh bahāroñ kā daam kis kā hai
kiye haiñ kis ko jabīn-e-niyāz ne sajde
ye ehtirām ai bait-ul-harām kis kā hai
'nazīr' apne ḳhudā kī shanāḳht rakhtā hai
shu.ūr kyoñ na ho itnā ġhulām kis kā hai
hasin kaun hai husn-e-dawam kis ka hai
zawal jis ko nahin hai wo nam kis ka hai
ye mai-kada ye surahi ye jam kis ka hai
bara-e-baada-kashan ehtimam kis ka hai
shab-e-firaq munawwar hai kis ke wadon se
dilon mein aas ki surat qiyam kis ka hai
nahin hai koi agar subh ke pas-e-parda
to intizar hamein waqt-e-sham kis ka hai
azal se hai jo dil-e-kaenat ki dhaDkan
hayat-baKHsh musalsal payam kis ka hai
jahan se zist ki ranaiyan nahin jatin
hayat puchh rahi hai nizam kis ka hai
hai kis ki zulf-e-moambar ki bas phulon mein
KHizan-badosh bahaaron ka dam kis ka hai
kiye hain kis ko jabin-e-niyaz ne sajde
ye ehtiram ai bait-ul-haram kis ka hai
'nazir' apne KHuda ki shanaKHt rakhta hai
shuur kyon na ho itna ghulam kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.