hasin KHwab dikhaya dikha ke chhoD diya
hasīn ḳhvāb dikhāyā dikhā ke chhoḌ diyā
kisī ne apnā banāyā banā ke chhoḌ diyā
jo us kī yādoñ kā dīpak kabhī huā raushan
to āñsuoñ se bujhāyā bujhā ke chhoḌ diyā
kiyā na us ne mire dard ko kabhī mahsūs
hamesha dil ko dukhāyā dukhā ke chhoḌ diyā
batātā kaise maiñ hassās ke ma'ānī use
so aa.ine ko uThāyā uThā ke chhoḌ diyā
maiñ hausla na juTā paayā us ko chhūne kā
naqāb ruḳh se haTāyā haTā ke chhoḌ diyā
kahīñ na us kī burā.ī meñ ham hue shāmil
nazar se jis ko girāyā girā ke chhoḌ diyā
bahut salīqe se us ne kiyā nazar-andāz
qarīb apne biThāyā biThā ke chhoḌ diyā
na un se rakkhī kabhī raushnī kī ummīdeñ
diyoñ ko ham ne jalāyā jalā ke chhoḌ diyā
hasin KHwab dikhaya dikha ke chhoD diya
kisi ne apna banaya bana ke chhoD diya
jo us ki yaadon ka dipak kabhi hua raushan
to aansuon se bujhaya bujha ke chhoD diya
kiya na us ne mere dard ko kabhi mahsus
hamesha dil ko dukhaya dukha ke chhoD diya
batata kaise main hassas ke ma'ani use
so aaine ko uThaya uTha ke chhoD diya
main hausla na juTa paya us ko chhune ka
naqab ruKH se haTaya haTa ke chhoD diya
kahin na us ki burai mein hum hue shamil
nazar se jis ko giraya gira ke chhoD diya
bahut saliqe se us ne kiya nazar-andaz
qarib apne biThaya biTha ke chhoD diya
na un se rakkhi kabhi raushni ki ummiden
diyon ko hum ne jalaya jala ke chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.