hasin KHwab nahin koi zindagi ki tarah
hasin KHwab nahin koi zindagi ki tarah
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
hasīn ḳhvāb nahīñ koī zindagī kī tarah
koī sarāb jahāñ meñ nahīñ ḳhushī kī tarah
fazā meñ tere tabassum ne bijliyāñ bhar diiñ
chamak uThe haiñ añdhere bhī raushnī kī tarah
shab-e-firāq ke baḌhte hue añdheroñ meñ
tum aa ga.e mire āñgan meñ chāñdnī kī tarah
nasīm-e-sub.h kī shabnam kī farhateñ le kar
tum aa.e mere tasavvur meñ tāzgī kī tarah
hai aarzū se tirī zindagī mirī raqsāñ
hai dil meñ pyaar tirā rūh-e-naġhmagī kī tarah
vahī hai shauq kā jazba vahī hai izz-o-niyāz
ki dekh lenā bhī tum ko hai bandagī kī tarah
mujhe pasand hai hañgāma-e-jahāñ vaa.iz
ye zindagī nahīñ jannat kī be-hisī kī tarah
kabhī vo aag kabhī aa ke phuul barsā.eñ
vo bhūlī-bisrī sī yādeñ haiñ zindagī kī tarah
ulajhnā ḳhāroñ se ho sāmnā jo tūfāñ se
raho jahāñ meñ agar shādmāñ kalī kī tarah
'habīb' apnī ġhazal meñ bhī ho vo soz-o-gudāz
jo dil ko moh le kānhā kī bāñsurī kī tarah
hasin KHwab nahin koi zindagi ki tarah
koi sarab jahan mein nahin KHushi ki tarah
faza mein tere tabassum ne bijliyan bhar din
chamak uThe hain andhere bhi raushni ki tarah
shab-e-firaq ke baDhte hue andheron mein
tum aa gae mere aangan mein chandni ki tarah
nasim-e-subh ki shabnam ki farhaten le kar
tum aae mere tasawwur mein tazgi ki tarah
hai aarzu se teri zindagi meri raqsan
hai dil mein pyar tera ruh-e-naghmagi ki tarah
wahi hai shauq ka jazba wahi hai izz-o-niyaz
ki dekh lena bhi tum ko hai bandagi ki tarah
mujhe pasand hai hangama-e-jahan waiz
ye zindagi nahin jannat ki be-hisi ki tarah
kabhi wo aag kabhi aa ke phul barsaen
wo bhuli-bisri si yaaden hain zindagi ki tarah
ulajhna KHaron se ho samna jo tufan se
raho jahan mein agar shadman kali ki tarah
'habib' apni ghazal mein bhi ho wo soz-o-gudaz
jo dil ko moh le kanha ki bansuri ki tarah
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 44)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.