hasin kitna ziyaada ho gaya hai
hasīñ kitnā ziyāda ho gayā hai
vo jab se aur saada ho gayā hai
chalo ham bhī mohabbat kar hī leñge
agar us kā irāda ho gayā hai
bhulā dūñgā use agle janam tak
mirā us se ye va.ada ho gayā hai
ghaḌī-bhar us kī āñkhoñ meñ utar kar
samundar bhī kushāda ho gayā hai
bichhaḌne kā use bhī dukh hai shāyad
ki ab to vo bhī aadhā ho gayā hai
hasin kitna ziyaada ho gaya hai
wo jab se aur sada ho gaya hai
chalo hum bhi mohabbat kar hi lenge
agar us ka irada ho gaya hai
bhula dunga use agle janam tak
mera us se ye wada ho gaya hai
ghaDi-bhar us ki aankhon mein utar kar
samundar bhi kushada ho gaya hai
bichhaDne ka use bhi dukh hai shayad
ki ab to wo bhi aadha ho gaya hai
- Book : Ham ne bhi mohabbat ki hai (Pg. 23)
- Author : HASAN ABBASI
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.