hasin lamhe guzar gae yaro
hasīñ lamhe guzar ga.e yaaro
ḳhvāb saare bikhar ga.e yaaro
maiñ to tanhā sā rah rahā thā magar
ki vo dil meñ utar ga.e yaaro
merī manzil banā vahī rasta
vo jidhar se guzar ga.e yaaro
ab to jiine se ḳhauf aatā hai
jaane kyā dil pe kar ga.e yaaro
vo hī ghabrā rahā thā milne se
ham to shām-o-sahar ga.e yaaro
aañsū 'ejāz' ke na thamte the
jab bhī us ke nagar ga.e yaaro
hasin lamhe guzar gae yaro
KHwab sare bikhar gae yaro
main to tanha sa rah raha tha magar
ki wo dil mein utar gae yaro
meri manzil bana wahi rasta
wo jidhar se guzar gae yaro
ab to jine se KHauf aata hai
jaane kya dil pe kar gae yaro
wo hi ghabra raha tha milne se
hum to sham-o-sahar gae yaro
aansu 'ejaz' ke na thamte the
jab bhi us ke nagar gae yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.