hasin raaten udhaar le kar jamil manzar ke KHwab dekhe
hasīn rāteñ udhār le kar jamīl manzar ke ḳhvāb dekhe
za.iif sūrat purāne naukar ne apne afsar ke ḳhvāb dekhe
murabba’oñ meñ makāñ banāyā to vahshatoñ ne karā.e acre
kanāl marloñ meñ aise simTe ki inchoñ meñ ghar ke ḳhvāb dekhe
tumhārī duniyā meñ zindagī kī har ik zarūrat hī bik rahī hai
dukāñ se paanī ḳharīd laa.e to hauz-e-kausar ke ḳhvāb dekhe
jo ḳhuuñ pasīna bahā ke apnā kaḌakte noToñ kī ḳhushbū sūñghe
use to fursat nahīñ hai sāhib ki mushk-o-ambar ke ḳhvāb dekhe
tamām duniyā ke bāsiyoñ ke dimāġh zanjīroñ meñ jakaḌ ke
pukāre aaqā ki ek mālik ko haq hai naukar ke ḳhvāb dekhe
vo jab bhī chāhe ki apnī marzī se saarī duniyā ke rang badle
badal ke chashma lagā ke dekhe jahān-e-dīgar ke ḳhvāb dekhe
hasin raaten udhaar le kar jamil manzar ke KHwab dekhe
zaif surat purane naukar ne apne afsar ke KHwab dekhe
murabba’on mein makan banaya to wahshaton ne karae acre
kanal marlon mein aise simTe ki inchon mein ghar ke KHwab dekhe
tumhaari duniya mein zindagi ki har ek zarurat hi bik rahi hai
dukan se pani KHarid lae to hauz-e-kausar ke KHwab dekhe
jo KHun pasina baha ke apna kaDakte noTon ki KHushbu sunghe
use to fursat nahin hai sahib ki mushk-o-ambar ke KHwab dekhe
tamam duniya ke basiyon ke dimagh zanjiron mein jakaD ke
pukare aaqa ki ek malik ko haq hai naukar ke KHwab dekhe
wo jab bhi chahe ki apni marzi se sari duniya ke rang badle
badal ke chashma laga ke dekhe jahan-e-digar ke KHwab dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.