hasin ruKH pe abhi tum naqab rahne do
hasīn ruḳh pe abhī tum naqāb rahne do
na kholo band ġhazal kī kitāb rahne do
uThūñgā dekhnā ik din maiñ āñdhiyoñ kī tarah
abhī karo na savāl-o-javāb rahne do
ham apnā farz kisī roz bhuul baiTheñ nā
hamāre kāñdhoñ pe kumbe kā daab rahne do
har ek chiiz kī mujh meñ tamīz hai bhaa.ī
tum apne paas azāb-o-savāb rahne do
maiñ apnī pyaas ko sahrā-navard kar dūñgā
miTā do saare samundar sarāb rahne do
tumhāre vāste saaya azaab hai 'ātish'
tum apne sar pe khaḌā āftāb rahne do
hasin ruKH pe abhi tum naqab rahne do
na kholo band ghazal ki kitab rahne do
uThunga dekhna ek din main aandhiyon ki tarah
abhi karo na sawal-o-jawab rahne do
hum apna farz kisi roz bhul baiThen na
hamare kandhon pe kumbe ka dab rahne do
har ek chiz ki mujh mein tamiz hai bhai
tum apne pas azab-o-sawab rahne do
main apni pyas ko sahra-naward kar dunga
miTa do sare samundar sarab rahne do
tumhaare waste saya azab hai 'atish'
tum apne sar pe khaDa aaftab rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.