hasin ruton ne mere sath jis ka nam liya
hasīñ rutoñ ne mire saath jis kā naam liyā
maiñ gir rahā thā ki aa kar usī ne thaam liyā
udāsī habs dhuāñ ishq bekalī sahrā
sabhī ne mujh se faqat apnā apnā kaam liyā
badal chuke the qavānīn-e-jañg so maiñ ne
diyā bujhā ke añdhere se intiqām liyā
vo ishq ban ke dhaḌakne lagā hai sīnoñ meñ
fanā ke haath se jis ne baqā kā jaam liyā
ik iztirāb meñ apne zamīr kā matlab
ḳhudā liyā hai kisī ne kisī ne raam liyā
hasin ruton ne mere sath jis ka nam liya
main gir raha tha ki aa kar usi ne tham liya
udasi habs dhuan ishq bekali sahra
sabhi ne mujh se faqat apna apna kaam liya
badal chuke the qawanin-e-jang so main ne
diya bujha ke andhere se intiqam liya
wo ishq ban ke dhaDakne laga hai sinon mein
fana ke hath se jis ne baqa ka jam liya
ek iztirab mein apne zamir ka matlab
KHuda liya hai kisi ne kisi ne ram liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.