hasin sahar ki faza dardnak hone se
hasīñ sahar kī fazā dardnāk hone se
bachā.eñ kaise tamanna ko ḳhaak hone se
huā jo jaur-o-sitam had se baḌh gayā hai ab
bachā.e kaun shajar ko halāk hone se
adhūrā rah gayā merā fasāna-e-ummīd
hamesha mas.ala-e-inhimāk hone se
ḳhushī bhī kho ga.ī zulmat ke jangaloñ meñ kahīñ
jahāñ kā parcham-e-iḳhlās chaak hone se
samajh le kaise koī tum ko pārsā ho bahut
tumhāre jism kā malbūs paak hone se
miThās lafzoñ meñ baḌh jaatī aur bhī 'ātish'
zabāñ meñ bāhamī kuchh ishtirāk hone se
hasin sahar ki faza dardnak hone se
bachaen kaise tamanna ko KHak hone se
hua jo jaur-o-sitam had se baDh gaya hai ab
bachae kaun shajar ko halak hone se
adhura rah gaya mera fasana-e-ummid
hamesha masala-e-inhimak hone se
KHushi bhi kho gai zulmat ke jangalon mein kahin
jahan ka parcham-e-iKHlas chaak hone se
samajh le kaise koi tum ko parsa ho bahut
tumhaare jism ka malbus pak hone se
miThas lafzon mein baDh jati aur bhi 'atish'
zaban mein bahami kuchh ishtirak hone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.