hasin saman na hasin kaenat hai shayad
hasīñ samāñ na hasīñ kā.enāt hai shāyad
kisī kā husn hī jān-e-hayāt hai shāyad
ġham-e-hayāt se hai zindagī meñ gīrā.ī
ġham-e-hayāt hī jān-e-hayāt hai shāyad
bahut qarīb se dekhī thī zindagī kī bahār
mire ḳhayāl se ye gul kī baat hai shāyad
vo ek lamha masarrat se jo guzar jaa.e
usī kā naam matā-e-hayāt hai shāyad
qadam qadam pe haqīqat qadam qadam pe majāz
usī tilism meñ kul kā.enāt hai shāyad
hazār but-shikan aa.e magar na toḌ sake
ġhurūr sab se baḌā somnāt hai shāyad
hai jāñ-gudāz bahut andalīb kā naġhma
kuchh is meñ dil kī mire vārdāt hai shāyad
udaas udaas haiñ shām-o-sahar ke nazzāre
bujhā bujhā sā sharār-e-hayāt hai shāyad
kise ḳhabar jo banī apnī jaan par 'tālib'
shikast-e-ishq shikast-e-hayāt hai shāyad
hasin saman na hasin kaenat hai shayad
kisi ka husn hi jaan-e-hayat hai shayad
gham-e-hayat se hai zindagi mein girai
gham-e-hayat hi jaan-e-hayat hai shayad
bahut qarib se dekhi thi zindagi ki bahaar
mere KHayal se ye gul ki baat hai shayad
wo ek lamha masarrat se jo guzar jae
usi ka nam mata-e-hayat hai shayad
qadam qadam pe haqiqat qadam qadam pe majaz
usi tilism mein kul kaenat hai shayad
hazar but-shikan aae magar na toD sake
ghurur sab se baDa somnat hai shayad
hai jaan-gudaz bahut andalib ka naghma
kuchh is mein dil ki mere wardat hai shayad
udas udas hain sham-o-sahar ke nazzare
bujha bujha sa sharar-e-hayat hai shayad
kise KHabar jo bani apni jaan par 'talib'
shikast-e-ishq shikast-e-hayat hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.