hasin wo chehra hai mahtab ka jawab koi
hasīñ vo chehra hai mahtāb kā javāb koī
ki mere aage hai ik nuur kī kitāb koī
tamām umr use hājat-e-surūr nahīñ
tumhārī aañkh se pī le agar sharāb koī
vajūd paatā huuñ ḳhushbū kā aaj apne gird
khilā hai un kī navāzish kā phir gulāb koī
na le sakā koī jab chuTkiyoñ meñ zarroñ ko
chalā hai aaj pakaḌne ko āftāb koī
hai mere vāste maazī kī yaad sarmāya
ye aur baat hai jaane ise azaab koī
ayaañ ḳhudā pe hī 'shāġhil' haiñ apne aib-o-hunar
sivā ḳhudā ke na le ham se ab hisāb koī
hasin wo chehra hai mahtab ka jawab koi
ki mere aage hai ek nur ki kitab koi
tamam umr use hajat-e-surur nahin
tumhaari aankh se pi le agar sharab koi
wajud pata hun KHushbu ka aaj apne gird
khila hai un ki nawazish ka phir gulab koi
na le saka koi jab chuTkiyon mein zarron ko
chala hai aaj pakaDne ko aaftab koi
hai mere waste mazi ki yaad sarmaya
ye aur baat hai jaane ise azab koi
ayan KHuda pe hi 'shaghil' hain apne aib-o-hunar
siwa KHuda ke na le hum se ab hisab koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.