hasin yaadon se KHalwat anjuman hai
hasīñ yādoñ se ḳhalvat anjuman hai
ḳhamoshī naġhma-zār-e-sad-suḳhan hai
nigār-e-gul-badan gul-pairahan hai
dhanak raqsāñ chaman-andar-chaman hai
mirī dīvāngī par hañsne vaalo
yahāñ farzāngī dīvāna-pan hai
mubārak rah-rav-e-rāh-e-tamannā
vatan ġhurbat meñ hai ġhurbat vatan hai
Darā sakte nahīñ ḳhūnīñ añdhere
nigāh-e-be-dilāñ zulmat-shikan hai
ḳhushī arzāñ hai bāzār-e-jahāñ meñ
bahā-e-ġham matā-e-jān-o-tan hai
azal se 'vajd' har qatre ke dil meñ
qayāmat-ḳhez tūfāñ maujzan hai
hasin yaadon se KHalwat anjuman hai
KHamoshi naghma-zar-e-sad-suKHan hai
nigar-e-gul-badan gul-pairahan hai
dhanak raqsan chaman-andar-chaman hai
meri diwangi par hansne walo
yahan farzangi diwana-pan hai
mubarak rah-raw-e-rah-e-tamanna
watan ghurbat mein hai ghurbat watan hai
Dara sakte nahin KHunin andhere
nigah-e-be-dilan zulmat-shikan hai
KHushi arzan hai bazar-e-jahan mein
baha-e-gham mata-e-jaan-o-tan hai
azal se 'wajd' har qatre ke dil mein
qayamat-KHez tufan maujzan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.