hasrat bhari nazar se wo dekhta hai mujhko
hasrat bharī nazar se vo dekhtā hai mujh ko
kuchh boltā nahīñ hai bas sochtā hai mujh ko
rakhtā hai dil meñ mujh ko palkoñ meñ band kar ke
ḳhvāboñ meñ apne har shab vo kholtā hai mujh ko
merī ḳhabar se mujh ko rakhtā hai bā-ḳhabar vo
mujh se ziyāda shāyad vo jāntā hai mujh ko
ab tak kisī ne aisā chāhā nahīñ kisī ko
jaise ki apne dil se vo chāhtā hai mujh ko
us ko maiñ māñgtā huuñ sajde meñ sar jhukā ke
dast-e-du'ā uThā ke vo māñgtā hai mujh ko
ab mere vāste vo ik aa.ina hai jaise
vo is qadar sarāpā pahchāntā hai mujh ko
hasrat bhari nazar se wo dekhta hai mujh ko
kuchh bolta nahin hai bas sochta hai mujh ko
rakhta hai dil mein mujh ko palkon mein band kar ke
KHwabon mein apne har shab wo kholta hai mujh ko
meri KHabar se mujh ko rakhta hai ba-KHabar wo
mujh se ziyaada shayad wo jaanta hai mujh ko
ab tak kisi ne aisa chaha nahin kisi ko
jaise ki apne dil se wo chahta hai mujh ko
us ko main mangta hun sajde mein sar jhuka ke
dast-e-du'a uTha ke wo mangta hai mujh ko
ab mere waste wo ek aaina hai jaise
wo is qadar sarapa pahchanta hai mujh ko
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 636)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.