hasrat bhi aarzu bhi hai dil mein tumhin nahin
hasrat bhī aarzū bhī hai dil meñ tumhīñ nahīñ
sab kuchh hai is makān meñ lekin makīñ nahīñ
da.avā abas hai tum ko ki mujh sā hasīñ nahīñ
duniyā meñ husn vaale haiñ lākhoñ tumhīñ nahīñ
ham un ke jaur-o-zulm se bach kar raheñ kahāñ
kis jā ye āsmān nahīñ ye zamīñ nahīñ
un kā Thikāna un kā patā koī jaane kyā
vo haiñ to sab jagah haiñ nahīñ to kahīñ nahīñ
hai āsmān par na zamīñ par tirī misāl
yaktā hai tū ġharaz tirā saanī kahīñ nahīñ
ai nāla-e-rasā ho zarā aur bhī buland
hai paas duur ab falak-e-haft meñ nahīñ
patthar paḌeñ nasīb meñ mujh bad-nasīb ke
us but ke sañg dar pe jo terī jabīñ nahīñ
kyuuñ aa.ine meñ kaun hai kis kā javāb hai
tum to ye kah rahe tujhe ki mujh sā hasīñ nahīñ
maiñ jā.ūñ ka.aba chhoḌ ke but-ḳhāna kyā zarūr
zāhid hai us kā jalva yahāñ bhī vahīñ nahīñ
nālā-kanāñ hai abr to girya-kunāñ hai abr
furqat meñ terī kis kā dil andoh-gīñ nahīñ
jaate rahe javānī ke saath apne saare josh
'sābir' vo valvale vo umañgeñ rahīñ nahīñ
hasrat bhi aarzu bhi hai dil mein tumhin nahin
sab kuchh hai is makan mein lekin makin nahin
dawa abas hai tum ko ki mujh sa hasin nahin
duniya mein husn wale hain lakhon tumhin nahin
hum un ke jaur-o-zulm se bach kar rahen kahan
kis ja ye aasman nahin ye zamin nahin
un ka Thikana un ka pata koi jaane kya
wo hain to sab jagah hain nahin to kahin nahin
hai aasman par na zamin par teri misal
yakta hai tu gharaz tera sani kahin nahin
ai nala-e-rasa ho zara aur bhi buland
hai pas dur ab falak-e-haft mein nahin
patthar paDen nasib mein mujh bad-nasib ke
us but ke sang dar pe jo teri jabin nahin
kyun aaine mein kaun hai kis ka jawab hai
tum to ye kah rahe tujhe ki mujh sa hasin nahin
main jaun kaba chhoD ke but-KHana kya zarur
zahid hai us ka jalwa yahan bhi wahin nahin
nala-kanan hai abr to girya-kunan hai abr
furqat mein teri kis ka dil andoh-gin nahin
jate rahe jawani ke sath apne sare josh
'sabir' wo walwale wo umangen rahin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.