hasrat-e-did bar nahin aati
hasrat-e-dīd bar nahīñ aatī
ab vo sūrat nazar nahīñ aatī
koī chuTkī sī dil meñ letā hai
be-sabab aañkh bhar nahīñ aatī
aur sab kuchh hai aadmī meñ magar
ādamiyyat nazar nahīñ aatī
kaam umr-e-ravāñ se le ġhāfil
ye kabhī lauT kar nahīñ aatī
jis se miT jaa.e zulmat-e-hastī
koī aisī sahar nahīñ aatī
un ko apne qarīb paatā huuñ
jab kuchh apnī ḳhabar nahīñ aatī
ek bhī chiiz donoñ aalam kī
dil se afzal nazar nahīñ aatī
raushnī kyā hai raushnī jab tak
zulmatoñ se guzar nahīñ aatī
un kī bātoñ se khul gayā ye 'bahār'
baat bantī nazar nahīñ aatī
hasrat-e-did bar nahin aati
ab wo surat nazar nahin aati
koi chuTki si dil mein leta hai
be-sabab aankh bhar nahin aati
aur sab kuchh hai aadmi mein magar
aadamiyyat nazar nahin aati
kaam umr-e-rawan se le ghafil
ye kabhi lauT kar nahin aati
jis se miT jae zulmat-e-hasti
koi aisi sahar nahin aati
un ko apne qarib pata hun
jab kuchh apni KHabar nahin aati
ek bhi chiz donon aalam ki
dil se afzal nazar nahin aati
raushni kya hai raushni jab tak
zulmaton se guzar nahin aati
un ki baaton se khul gaya ye 'bahaar'
baat banti nazar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.