hasrat-e-did se mamlu dil-e-shaidai hai
hasrat-e-did se mamlu dil-e-shaidai hai
Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
hasrat-e-dīd se mamlū dil-e-shaidā.ī hai
sharbat-e-dīd kaf-e-pā kā tamannā.ī hai
kaise tūfān tamannā ke muqābil Thahre
sho.ala-e-ishq lab-e-gosha-e-tanhā.ī hai
sho.ala-e-naḳhvat-o-be-zārī hasad ujb-o-riyā
māne-e-dīd-e-ruḳh-e-yār tamāshā.ī hai
kākul-e-sarv-e-chaman misl-e-mah-e-nau dekhā
chehra-e-yār meñ ījād jabīñ-sā.ī hai
har qadam mehr-o-vafā sidq-o-safā har lamha
paikar-e-ishq ko kahte ho ki harjā.ī hai
kūcha-e-ishq-e-tamannā kā patā de mujh ko
terī furqat meñ mire hoñToñ pe jaañ aa.ī hai
halqa-e-chashm nasheman hai tirī yādoñ kā
ḳhirman-e-yād lab-e-gosha-e-tanhā.ī hai
kaisī duurī hai rag-e-jāñ se ziyāda hai qarīñ
dil ke chilman ke qarīñ tū ne jagah paa.ī hai
kaun pā.egā sazā kaun barī ho.egā
mahfil-e-sham.a meñ parvānoñ kī sunvā.ī hai
ai 'falak maiñ huuñ sag-e-ḳhāk kaf-e-pā us kā
mash.al-e-rāh-e-najāt us kī shanāsā.ī hai
hasrat-e-did se mamlu dil-e-shaidai hai
sharbat-e-did kaf-e-pa ka tamannai hai
kaise tufan tamanna ke muqabil Thahre
shoala-e-ishq lab-e-gosha-e-tanhai hai
shoala-e-naKHwat-o-be-zari hasad ujb-o-riya
mane-e-did-e-ruKH-e-yar tamashai hai
kakul-e-sarw-e-chaman misl-e-mah-e-nau dekha
chehra-e-yar mein ijad jabin-sai hai
har qadam mehr-o-wafa sidq-o-safa har lamha
paikar-e-ishq ko kahte ho ki harjai hai
kucha-e-ishq-e-tamanna ka pata de mujh ko
teri furqat mein mere honTon pe jaan aai hai
halqa-e-chashm nasheman hai teri yaadon ka
KHirman-e-yaad lab-e-gosha-e-tanhai hai
kaisi duri hai rag-e-jaan se ziyaada hai qarin
dil ke chilman ke qarin tu ne jagah pai hai
kaun paega saza kaun bari hoega
mahfil-e-shama mein parwanon ki sunwai hai
ai 'falak main hun sag-e-KHak kaf-e-pa us ka
mashal-e-rah-e-najat us ki shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.