hasrat-e-dida-e-shab-tab liye baiThe hain
hasrat-e-dīda-e-shab-tāb liye baiThe haiñ
apnī āñkhoñ meñ ham ik ḳhvāb liye baiThe haiñ
shahr-e-hastī meñ kuchh aise bhī hameñ log mile
apnī fitrat meñ jo girdāb liye baiThe haiñ
ham ne ḳhud ko bhī khañgālā hai samundar kī tarah
haath meñ gauhar-e-nāyāb liye baiThe haiñ
mujh pe allāh kī rahmat hai jo zinda huuñ maiñ
varna ḳhanjar mire ahbāb liye baiThe haiñ
haq-bayānī se jo Darte haiñ sar-e-mahfil vo
zehn meñ mimbar-o-mehrāb liye baiThe haiñ
zo'm ye hai ki unhīñ ko hī milegī jannat
jo tabāhī ke har asbāb liye baiThe haiñ
dard kyā samjheñge 'sāhil' vo siyah rātoñ kā
apne pahlū meñ jo mahtāb liye baiThe haiñ
hasrat-e-dida-e-shab-tab liye baiThe hain
apni aankhon mein hum ek KHwab liye baiThe hain
shahr-e-hasti mein kuchh aise bhi hamein log mile
apni fitrat mein jo girdab liye baiThe hain
hum ne KHud ko bhi khangala hai samundar ki tarah
hath mein gauhar-e-nayab liye baiThe hain
mujh pe allah ki rahmat hai jo zinda hun main
warna KHanjar mere ahbab liye baiThe hain
haq-bayani se jo Darte hain sar-e-mahfil wo
zehn mein mimbar-o-mehrab liye baiThe hain
zo'm ye hai ki unhin ko hi milegi jannat
jo tabahi ke har asbab liye baiThe hain
dard kya samjhenge 'sahil' wo siyah raaton ka
apne pahlu mein jo mahtab liye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.