hasrat-e-dil yun nikali jaegi
hasrat-e-dil yuuñ nikālī jā.egī
aarzū meñ jaan Daalī jā.egī
aabrū jab barmalā lī jā.egī
ik nazar bhar ke churā lī jā.egī
āḳhirī ḳhvāhish bhī Taalī jā.egī
teġh kyā un se sañbhālī jā.egī
naaz se duniyā kamā lī jā.egī
haath par sarsoñ jamā lī jaa.e gī
rehn-e-gulshan ho chalā zauq-e-nihāñ
ab nazar sāñche meñ Dhālī jā.egī
kyā ḳhabar thī 'ishq kī tā'mīr meñ
dard kī buniyād Daalī jā.egī
ye to zāhir thā ki bazm-e-husn meñ
'ishq kī pagḌī uchhālī jā.egī
un ko apne bil-muqābil dekh kar
be-ḳhudī kaise sañbhālī jā.egī
dushmanī ke zikr par maa.il haiñ vo
dostī kī baat Taalī jā.egī
bazm-e-ulfat kī nazar meñ ḳhaar huuñ
bad-nigāhī mujh pe Dhālī jā.egī
'shād' rahte kaT ga.ī hai zindagī
nibh sakegī jo nibhā lī jā.egī
hasrat-e-dil yun nikali jaegi
aarzu mein jaan Dali jaegi
aabru jab barmala li jaegi
ek nazar bhar ke chura li jaegi
aaKHiri KHwahish bhi Tali jaegi
tegh kya un se sanbhaali jaegi
naz se duniya kama li jaegi
hath par sarson jama li jae gi
rehn-e-gulshan ho chala zauq-e-nihan
ab nazar sanche mein Dhaali jaegi
kya KHabar thi 'ishq ki ta'mir mein
dard ki buniyaad Dali jaegi
ye to zahir tha ki bazm-e-husn mein
'ishq ki pagDi uchhaali jaegi
un ko apne bil-muqabil dekh kar
be-KHudi kaise sanbhaali jaegi
dushmani ke zikr par mail hain wo
dosti ki baat Tali jaegi
bazm-e-ulfat ki nazar mein KHar hun
bad-nigahi mujh pe Dhaali jaegi
'shad' rahte kaT gai hai zindagi
nibh sakegi jo nibha li jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.