Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasrat-e-paemal mein gum hain

Khawaja Reazuddin Atash

hasrat-e-paemal mein gum hain

Khawaja Reazuddin Atash

MORE BYKhawaja Reazuddin Atash

    hasrat-e-pā.emāl meñ gum haiñ

    ham fareb-e-ḳhayāl meñ gum haiñ

    bujhtī yādoñ ke surma.ī saa.e

    shām-e-ranj-o-malāl meñ gum haiñ

    ham hisār-e-vajūd ke rah-rau

    gardish-e-lā-zavāl meñ gum haiñ

    sham' insāniyat ke nūr-faroġh

    zulmat-e-infi.āl meñ gum haiñ

    vo abad tak 'urūj partav

    ham azal se zavāl meñ gum haiñ

    ab bhañvar meñ phañsā hai māhī-gīr

    machhliyāñ jaal jaal meñ gum haiñ

    lāla-o-gul ye mahr o maah o nujūm

    sab tire ḳhadd-o-ḳhāl meñ gum haiñ

    shām-e-ġham hazār-hā shāmeñ

    mere jām-e-sifāl meñ gum haiñ

    hijr be-panāh rātoñ meñ

    log shauq-e-visāl meñ gum haiñ

    kashtī-e-zīst khe rahe haiñ 'atash'

    bahr kār-e-muhāl meñ gum haiñ

    hasrat-e-paemal mein gum hain

    hum fareb-e-KHayal mein gum hain

    bujhti yaadon ke surmai sae

    sham-e-ranj-o-malal mein gum hain

    hum hisar-e-wajud ke rah-rau

    gardish-e-la-zawal mein gum hain

    sham' insaniyat ke nur-farogh

    zulmat-e-infial mein gum hain

    wo abad tak 'uruj ka partaw

    hum azal se zawal mein gum hain

    ab bhanwar mein phansa hai mahi-gir

    machhliyan jal jal mein gum hain

    lala-o-gul ye mahr o mah o nujum

    sab tere KHadd-o-KHal mein gum hain

    sham-e-gham ki hazar-ha shamen

    mere jam-e-sifal mein gum hain

    hijr ki be-panah raaton mein

    log shauq-e-visal mein gum hain

    kashti-e-zist khe rahe hain 'atash'

    bahr kar-e-muhaal mein gum hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now