hasrat hai teri did ka mausam to ho kabhi
hasrat hai terī diid kā mausam to ho kabhī
āñkhoñ ko ik nigāh kā marham to ho kabhī
garche hai mere dil meñ baserā kiye hue
dhaḌkan se dil kā fāsla mub.ham to ho kabhī
pahlū jalā.e laakh magar tīrgī na de
dhaḌkan meñ chāñd-rāt sā 'ālam to ho kabhī
tere qarīb baiTh ke ahvāl-e-dil kaheñ
ai kaash aisī guftugū bāham to ho kabhī
phir se tilism-e-ḳhvāb meñ rahne lagī hai aañkh
sahrā mirī nigāh kā mahram to ho kabhī
ham haiñ rahīn-e-ārzū aur iltijā bhī haiñ
māñge baġhair diid kā mausam to ho kabhī
dhaḌkan kī bāñsurī meñ nayā soz aa gayā
dil meñ kisī ke pyaar kā sargam to ho kabhī
barsoñ ke baa'd mil ke takalluf sā aa gayā
aapas meñ iltifāt kā 'ālam to ho kabhī
ḳhushbū ke haath aa.e kabhī reshmī payām
merī qabā pe rang kā mausam to ho kabhī
sehn-e-chaman meñ phuul na.ī baat kar gayā
sahrā kisī gulāb kā marham to ho kabhī
garche hai regzār sā merā mizāj par
bārish mire makān pe paiham to ho kabhī
koī pighal rahā thā shab-e-hijr aañkh meñ
soz-e-junūñ kī rāgnī maddham to ho kabhī
kaise pata chalegā ki 'nīlam' ko pyaar hai
vā'da-ḳhilāfī hone pe barham to ho kabhī
hasrat hai teri did ka mausam to ho kabhi
aankhon ko ek nigah ka marham to ho kabhi
garche hai mere dil mein basera kiye hue
dhaDkan se dil ka fasla mubham to ho kabhi
pahlu jalae lakh magar tirgi na de
dhaDkan mein chand-raat sa 'alam to ho kabhi
tere qarib baiTh ke ahwal-e-dil kahen
ai kash aisi guftugu baham to ho kabhi
phir se tilism-e-KHwab mein rahne lagi hai aankh
sahra meri nigah ka mahram to ho kabhi
hum hain rahin-e-arzu aur iltija bhi hain
mange baghair did ka mausam to ho kabhi
dhaDkan ki bansuri mein naya soz aa gaya
dil mein kisi ke pyar ka sargam to ho kabhi
barson ke ba'd mil ke takalluf sa aa gaya
aapas mein iltifat ka 'alam to ho kabhi
KHushbu ke hath aae kabhi reshmi payam
meri qaba pe rang ka mausam to ho kabhi
sehn-e-chaman mein phul nai baat kar gaya
sahra kisi gulab ka marham to ho kabhi
garche hai regzar sa mera mizaj par
barish mere makan pe paiham to ho kabhi
koi pighal raha tha shab-e-hijr aankh mein
soz-e-junun ki ragni maddham to ho kabhi
kaise pata chalega ki 'nilam' ko pyar hai
wa'da-KHilafi hone pe barham to ho kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.