hasrat ho tamannaon ka sailab ho kya ho
hasrat ho tamannāoñ kā sailāb ho kyā ho
tum zinda haqīqat ho koī ḳhvāb ho kyā ho
jazbe kī sadāqat ho ki ehsās kī ḳhushbū
tum shahr-e-mohabbat kā hasīñ baab ho kyā ho
qadmoñ kī bhī aahaT meñ hai ik saaz kī āvāz
barbat ho ki viina ho ki mizrāb ho kyā ho
ai va.ada-e-fardā ke samundar mire haq meñ
kashtī ho ki sāhil ho ki girdāb ho kyā ho
mil jaao jise us kā chamak jaa.e muqaddar
tum zill-e-humā ho par-e-surḳhāb ho kyā ho
tum aao mire ghar to batāo ki sar-e-farsh
maḳhmal ho ki atlas ho ki kamḳhāb ho kyā ho
'fārūq' ke haath aa.e na tum ho ke bhī nazdīk
ḳhushbū ho ki saaya ho ki sīmāb ho kyā ho
hasrat ho tamannaon ka sailab ho kya ho
tum zinda haqiqat ho koi KHwab ho kya ho
jazbe ki sadaqat ho ki ehsas ki KHushbu
tum shahr-e-mohabbat ka hasin bab ho kya ho
qadmon ki bhi aahaT mein hai ek saz ki aawaz
barbat ho ki wina ho ki mizrab ho kya ho
ai wada-e-farda ke samundar mere haq mein
kashti ho ki sahil ho ki girdab ho kya ho
mil jao jise us ka chamak jae muqaddar
tum zill-e-huma ho par-e-surKHab ho kya ho
tum aao mere ghar to batao ki sar-e-farsh
maKHmal ho ki atlas ho ki kamKHab ho kya ho
'faruq' ke hath aae na tum ho ke bhi nazdik
KHushbu ho ki saya ho ki simab ho kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.