hasrat ke dagh dast-e-talab se nahin dhule
hasrat ke daaġh dast-e-talab se nahīñ dhule
bhārī the ḳhvāb aañkh se puure nahīñ tule
chakkar bañdhā thā paañv meñ qismat ke pher kā
gard-e-safar ke band abhī tak nahīñ khule
ashkoñ ke zā.iqe meñ namak rah gayā hai kam
ranj-o-malāl Thiik tarah se nahīñ ghule
so.e raheñ haiñ mahal-e-tamannā hazār saal
shahzādiyoñ ke baḳht jabhī to nahīñ khule
rūheñ badan kā saath nibhāne meñ thak rahīñ
yā'nī ki hast-o-būd barābar nahīñ rule
hasrat ke dagh dast-e-talab se nahin dhule
bhaari the KHwab aankh se pure nahin tule
chakkar bandha tha panw mein qismat ke pher ka
gard-e-safar ke band abhi tak nahin khule
ashkon ke zaiqe mein namak rah gaya hai kam
ranj-o-malal Thik tarah se nahin ghule
soe rahen hain mahal-e-tamanna hazar sal
shahzadiyon ke baKHt jabhi to nahin khule
ruhen badan ka sath nibhane mein thak rahin
ya'ni ki hast-o-bud barabar nahin rule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.