hasrat-o-yas ka ek naqsh-e-pareshan samjha
hasrat-o-yās kā ik naqsh-e-pareshāñ samjhā
hāl-e-uftāda dil-e-shām-e-ġharībāñ samjhā
qābil-e-dād hai us shaḳhs kī rañgīnī-e-fikr
dil-e-ḳhūñ-gashta ko jo ziist kā unvāñ samjhā
be-ruḳhī ne tirī ġhārat kiyā māmūra-e-shauq
aaj dekhā to use shahr-e-ḳhamoshāñ samjhā
yaas ne chhīn lī kyā ishq kī bāliġh-nazarī
vus.at-e-kaun-o-makāñ ko jo ye zindāñ samjhā
kuchh na ban aayā jo sar dhun ke to zehn-e-shā.ir
daftar-e-husn ko tasnīf-e-bahārāñ samjhā
ḳhosha-chīñ shauq hai us tab-e-rasā ke fan kā
jis ke afkār ko maiñ jannat-e-imkāñ samjhā
the vo ḳhalvat-kada-e-nāz ke parde 'qāzī'
barg-e-gul jin ko mirā dīda-e-hairāñ samjhā
hasrat-o-yas ka ek naqsh-e-pareshan samjha
haal-e-uftada dil-e-sham-e-ghariban samjha
qabil-e-dad hai us shaKHs ki rangini-e-fikr
dil-e-KHun-gashta ko jo zist ka unwan samjha
be-ruKHi ne teri ghaarat kiya mamura-e-shauq
aaj dekha to use shahr-e-KHamoshan samjha
yas ne chhin li kya ishq ki baaligh-nazari
wusat-e-kaun-o-makan ko jo ye zindan samjha
kuchh na ban aaya jo sar dhun ke to zehn-e-shair
daftar-e-husn ko tasnif-e-bahaaran samjha
KHosha-chin shauq hai us tab-e-rasa ke fan ka
jis ke afkar ko main jannat-e-imkan samjha
the wo KHalwat-kada-e-naz ke parde 'qazi'
barg-e-gul jin ko mera dida-e-hairan samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.