hasrat sahi firaq sahi bekali sahi
hasrat sahī firāq sahī bekalī sahī
ik bevafā kī yaad meñ dīvāngī sahī
mumkin hai kaam aa.e burā aadmī sahī
nāseh ye dostī na sahī dushmanī sahī
maiñ mutma.in huuñ apne dil-e-pur-ḳhulūs par
un ke ḳhulūs meñ jo kamī hai kamī sahī
ik pal meñ us ne toḌ diyā rishta-e-vafā
hasrat milā dī ḳhaak meñ us ne rahī sahī
sab kuchh mujhe gavāra hai ai jān-e-ārzū
nazar-e-karam sahī na sahī barhamī sahī
'ambar' vo aadmī hai burā mat kaho use
vo laakh nā-shanās sahī ajnabī sahī
hasrat sahi firaq sahi bekali sahi
ek bewafa ki yaad mein diwangi sahi
mumkin hai kaam aae bura aadmi sahi
naseh ye dosti na sahi dushmani sahi
main mutmain hun apne dil-e-pur-KHulus par
un ke KHulus mein jo kami hai kami sahi
ek pal mein us ne toD diya rishta-e-wafa
hasrat mila di KHak mein us ne rahi sahi
sab kuchh mujhe gawara hai ai jaan-e-arzu
nazar-e-karam sahi na sahi barhami sahi
'ambar' wo aadmi hai bura mat kaho use
wo lakh na-shanas sahi ajnabi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.