hasrat se dekhta hun teri rahguzar ko main
hasrat se dekhtā huuñ tirī rahguzar ko maiñ
samjhā.ūñ kis tarah ye dil-e-be-ḳhabar ko maiñ
kyā duuñ javāb un ke ishāroñ kā ham-nashīñ
samjhā nahīñ huuñ aaj tak us fitna-gar ko maiñ
rahbar hī saath hai na hai manzil kā hī nishāñ
rāhoñ se be-ḳhabar huuñ chalā huuñ safar ko maiñ
dekhā karo na pyaar se merī taraf huzūr
bas meñ na rakh sakūñgā phir apnī nazar ko maiñ
is bebasī meñ shauq kī parvāz dekhiye
le hī uḌā huuñ tā.ir-e-be-bāl-o-par ko maiñ
jā.egā jī ke saath hī ye rog ai 'kañval'
lekin ye baat kaise kahūñ chārāgar ko maiñ
hasrat se dekhta hun teri rahguzar ko main
samjhaun kis tarah ye dil-e-be-KHabar ko main
kya dun jawab un ke ishaaron ka ham-nashin
samjha nahin hun aaj tak us fitna-gar ko main
rahbar hi sath hai na hai manzil ka hi nishan
rahon se be-KHabar hun chala hun safar ko main
dekha karo na pyar se meri taraf huzur
bas mein na rakh sakunga phir apni nazar ko main
is bebasi mein shauq ki parwaz dekhiye
le hi uDa hun tair-e-be-baal-o-par ko main
jaega ji ke sath hi ye rog ai 'kanwal'
lekin ye baat kaise kahun chaaragar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.