hasrat se qamar takta tha KHurshid-e-mubin tha
hasrat se qamar taktā thā ḳhurshīd-e-mubīñ thā
ik shaḳhs yahāñ itnā hasīñ itnā hasīñ thā
jo shaḳhs mire haath meñ thā saat baras tak
afsos vo hāthoñ kī lakīroñ meñ nahīñ thā
aahā vo mirā sho'la-badan us kī vo bāñheñ
uf merā muqaddar ki maiñ ik vaqt kahīñ thā
ik ḳhushbū ne mausam ne havā ne mujhe bolā
tū aatā zarā pahle ki vo shaḳhs yahīñ thā
ik rang kā mausam hī rahā kartā thā 'sābir'
jab āsmāñ thā us kā maiñ vo merī zamīñ thā
hasrat se qamar takta tha KHurshid-e-mubin tha
ek shaKHs yahan itna hasin itna hasin tha
jo shaKHs mere hath mein tha sat baras tak
afsos wo hathon ki lakiron mein nahin tha
aaha wo mera sho'la-badan us ki wo banhen
uf mera muqaddar ki main ek waqt kahin tha
ek KHushbu ne mausam ne hawa ne mujhe bola
tu aata zara pahle ki wo shaKHs yahin tha
ek rang ka mausam hi raha karta tha 'sabir'
jab aasman tha us ka main wo meri zamin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.