hasraten aisi bhi is dil ne saja rakkhi hain
hasrateñ aisī bhī is dil ne sajā rakkhī haiñ
bandisheñ jin pe zamāne ne lagā rakkhī haiñ
baat ġhairoñ kī agar hotī to ham sah lete
barchhiyāñ tanz kī apnoñ ne chalā rakkhī haiñ
ek dīvāne ne is mausam-e-sahrā.ī meñ
barf ke TukḌoñ se qindīleñ banā rakkhī haiñ
us ke zulmoñ kā bhalā kaise maiñ elaan karūñ
jis ne duniyā ko karāmāt dikhā rakkhī haiñ
phir bhī uryānī nahīñ jaatī hai us ke tan kī
jabki poshākoñ pe poshākeñ chaḌhā rakkhī haiñ
ek lamhe ko bhī hāsil nahīñ hotā hai sukūñ
yuuñ to āsā.isheñ duniyā kī kamā rakkhī haiñ
aag denā hī faqat un kā hai manshā 'resham'
sham.eñ bas is liye yāroñ ne jalā rakkhī haiñ
hasraten aisi bhi is dil ne saja rakkhi hain
bandishen jin pe zamane ne laga rakkhi hain
baat ghairon ki agar hoti to hum sah lete
barchhiyan tanz ki apnon ne chala rakkhi hain
ek diwane ne is mausam-e-sahrai mein
barf ke TukDon se qindilen bana rakkhi hain
us ke zulmon ka bhala kaise main elan karun
jis ne duniya ko karamat dikha rakkhi hain
phir bhi uryani nahin jati hai us ke tan ki
jabki poshakon pe poshaken chaDha rakkhi hain
ek lamhe ko bhi hasil nahin hota hai sukun
yun to aasaishen duniya ki kama rakkhi hain
aag dena hi faqat un ka hai mansha 'resham'
shamen bas is liye yaron ne jala rakkhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.