hasraten bar aaengi KHwahish ke miT jaane ke baad
hasrateñ bar ā.eñgī ḳhvāhish ke miT jaane ke ba.ad
raushnī aatī hai din kī raat kaT jaane ke ba.ad
justujū rāhat kī paidā kartī hai haijān ko
zalzale hote haiñ sākin koh phaT jaane ke ba.ad
āzmā.ish sabr kī jab ḳhatm hogī dekhnā
imtihāñ hogā tumhārā umr kaT jaane ke ba.ad
aish meñ rāhat kahāñ ġhāfil tū hai kis bhuul meñ
rāhateñ hamvār hogī aish kaT jaane ke ba.ad
zindagī ik ḳhvāb 'gītā' aarzū be-kār hai
raaz afshā hoñge sab naqshe palaT jaane ke ba.ad
hasraten bar aaengi KHwahish ke miT jaane ke baad
raushni aati hai din ki raat kaT jaane ke baad
justuju rahat ki paida karti hai haijaan ko
zalzale hote hain sakin koh phaT jaane ke baad
aazmaish sabr ki jab KHatm hogi dekhna
imtihan hoga tumhaara umr kaT jaane ke baad
aish mein rahat kahan ghafil tu hai kis bhul mein
rahaten hamwar hogi aish kaT jaane ke baad
zindagi ek KHwab 'gita' aarzu be-kar hai
raaz afsha honge sab naqshe palaT jaane ke baad
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 195)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.