hasraton ka silsila hai zindagi bhar ke liye
hasratoñ kā silsila hai zindagī bhar ke liye
ishq kyā hai mas.ala hai zindagī bhar ke liye
vo ye bolā jaane kab tak saath mere tum raho
maiñ ye bolī ye balā hai zindagī bhar ke liye
ham na de paa.e kisī ko ġham na de paa.e sukūñ
ḳhud se bas ye hī gila hai zindagī bhar ke liye
le ke haq kī baat uTheñ kaT kaT ke maidāñ meñ gireñ
zindagī ik karbalā hai zindagī bhar ke liye
ḳhushnumā mahfil meñ bhī siskī sunā.ī detī hai
koī mujh meñ mubtalā hai zindagī bhar ke liye
dil lagā.eñ zaḳhm khā.eñ aur gaate jaa.eñ giit
kis kā itnā hausla hai zindagī bhar ke liye
hasraton ka silsila hai zindagi bhar ke liye
ishq kya hai masala hai zindagi bhar ke liye
wo ye bola jaane kab tak sath mere tum raho
main ye boli ye bala hai zindagi bhar ke liye
hum na de pae kisi ko gham na de pae sukun
KHud se bas ye hi gila hai zindagi bhar ke liye
le ke haq ki baat uThen kaT kaT ke maidan mein giren
zindagi ek karbala hai zindagi bhar ke liye
KHushnuma mahfil mein bhi siski sunai deti hai
koi mujh mein mubtala hai zindagi bhar ke liye
dil lagaen zaKHm khaen aur gate jaen git
kis ka itna hausla hai zindagi bhar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.