hasraton ko na zehn ruswa karen
hasratoñ ko na zehn rusvā kareñ
duur haT jaa.eñ un ko rasta kareñ
kaun kahtā hai vo pukārā kareñ
apnī āñkhoñ kā bas ishāra kareñ
sañg paḌne lage raqīboñ pe
kaise taslīm ye ḳhasāra kareñ
ḳhuub lagte haiñ kitne gul-daste
sab adāoñ ko aap yakjā kareñ
saare kirdār itminān meñ haiñ
ab kahānī meñ moḌ paidā kareñ
aag kis tarah ham rakheñ zinda
saañs ko aur kitnā gahrā kareñ
hasraton ko na zehn ruswa karen
dur haT jaen un ko rasta karen
kaun kahta hai wo pukara karen
apni aankhon ka bas ishaara karen
sang paDne lage raqibon pe
kaise taslim ye KHasara karen
KHub lagte hain kitne gul-daste
sab adaon ko aap yakja karen
sare kirdar itminan mein hain
ab kahani mein moD paida karen
aag kis tarah hum rakhen zinda
sans ko aur kitna gahra karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.