hassas dil tha sharm se nam-dida ho gaya
hassās dil thā sharm se nam-dīda ho gayā
nāhaq maiñ us kī baat pe ranjīda ho gayā
tujh se mafāriqat kā nahīñ ġham to is kā hai
maiñ ḳhud bhī apne vāste nādīda ho gayā
sāġhar uchhalte dekh ke kyoñ ro paḌī ghaTā
māhaul daf'atan baḌā sanjīda ho gayā
būḌhī havā ne pyaar se pherā thā sar pe haath
pattā 'ajīb ḳhauf se larzīda ho gayā
'hairat' kisī kā apne muqaddar pe bas nahīñ
parvāna ḳhud hī sham' kā girvīda ho gayā
hassas dil tha sharm se nam-dida ho gaya
nahaq main us ki baat pe ranjida ho gaya
tujh se mafariqat ka nahin gham to is ka hai
main KHud bhi apne waste nadida ho gaya
saghar uchhalte dekh ke kyon ro paDi ghaTa
mahaul daf'atan baDa sanjida ho gaya
buDhi hawa ne pyar se phera tha sar pe hath
patta 'ajib KHauf se larzida ho gaya
'hairat' kisi ka apne muqaddar pe bas nahin
parwana KHud hi sham' ka girwida ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.