hasti-e-fani ka matam kya karen
hastī-e-fānī kā mātam kyā kareñ
hañs ke bhī is ġham ko mub.ham kyā kareñ
ban ke ḳhushbū zaat meñ tum bhar ga.e
ḳhud ko ḳhud meñ is se bhī kam kyā kareñ
us kī sab nādāniyāñ pyārī lageñ
itnā pyārā hai vo hamdam kyā kareñ
saañs kī larzan bhī sargam ho ga.ī
āshiqī kī dhun ko maddham kyā kareñ
fā.eda nuqsān sab tum hī gino
ham to ab tum ho ga.e ġham kyā kareñ
hasti-e-fani ka matam kya karen
hans ke bhi is gham ko mubham kya karen
ban ke KHushbu zat mein tum bhar gae
KHud ko KHud mein is se bhi kam kya karen
us ki sab nadaniyan pyari lagen
itna pyara hai wo hamdam kya karen
sans ki larzan bhi sargam ho gai
aashiqi ki dhun ko maddham kya karen
faeda nuqsan sab tum hi gino
hum to ab tum ho gae gham kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.