hastī ik naqsh-e-in.ikāsī hai
ye haqīqat nahīñ qayāsī hai
zauq tishna hai ruuh pyāsī hai
saarā māhaul hī siyāsī hai
khub ga.ī dil meñ har adā us kī
kaj-adā.ī bhī ḳhush-adā sī hai
dil hai afsurda to bahār kahāñ
baaġh meñ har taraf udāsī hai
un ko pā kar qarār aa.egā
ahl-e-dil ye bhī ḳhush-qayāsī hai
sau hijāboñ meñ be-hijāb hai husn
sau libāsoñ meñ be-libāsī hai
mudda.ā tak bayāñ nahīñ hotā
bad-havāsī sī bad-havāsī hai
un ko dekhā nahīñ 'figār' magar
un ke jalvoñ se rū-shanāsī hai
hasti ek naqsh-e-inikasi hai
ye haqiqat nahin qayasi hai
zauq tishna hai ruh pyasi hai
sara mahaul hi siyasi hai
khub gai dil mein har ada us ki
kaj-adai bhi KHush-ada si hai
dil hai afsurda to bahaar kahan
bagh mein har taraf udasi hai
un ko pa kar qarar aaega
ahl-e-dil ye bhi KHush-qayasi hai
sau hijabon mein be-hijab hai husn
sau libason mein be-libasi hai
muddaa tak bayan nahin hota
bad-hawasi si bad-hawasi hai
un ko dekha nahin 'figar' magar
un ke jalwon se ru-shanasi hai
Source :
- Book : Harf-o-nava (Pg. 40)
- Author : Figaar Unnavi
-
Publication : umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
(2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.