hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye
hastī kī qaid se ai dil āzād hoiye
sahrā meñ jā ke ḳhuub sā hañs hañs ke roiye
donoñ jahāñ kā shādī o ġham dil se bhuul kar
paañv darāz kar ke farāġhat se soiye
ai chashm az-barā.e-ḳhudā gar madad kare
a.amāl-nāma apnā to ro ro ke dhoiye
'hātim' kisī se apnī musībat ko tū na kah
kyā fā.eda jo apnā bharam muft khoiye
hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye
sahra mein ja ke KHub sa hans hans ke roiye
donon jahan ka shadi o gham dil se bhul kar
panw daraaz kar ke faraghat se soiye
ai chashm az-barae-KHuda gar madad kare
aamal-nama apna to ro ro ke dhoiye
'hatim' kisi se apni musibat ko tu na kah
kya faeda jo apna bharam muft khoiye
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 356)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.