hasti ko teri bas hai miyan gul ki ishaarat
hastī ko tirī bas hai miyāñ gul kī ishārat
kaafī hai mire naale ko bulbul kī ishārat
fatvā talab ai yaar na qaazī se karūñ maiñ
tauba-shikanī ko hai mirī mul kī ishārat
mil baiTh merī āñkhoñ meñ hai sā.at-e-nek aaj
ye chashm tarāzū haiñ tire tul kī ishārat
hai bā.is-e-jam.iyyat-e-dil ek jahāñ kī
ai shoḳh pareshāni-e-kākul kī ishārat
taqvā ke nahīñ baar se qad ḳham tirā ai shaiḳh
ik ḳhalq meñ mash.hūr hai is pul kī ishārat
yaad aa.e tirī zulf na mujh ko jo chaman meñ
de taab mire dil ko na sumbul kī ishārat
ushshāq ko tujh chashm ke hājat nahīñ mai kī
behosh kare 'saudā' ko qulqul kī ishārat
hasti ko teri bas hai miyan gul ki ishaarat
kafi hai mere nale ko bulbul ki ishaarat
fatwa talab ai yar na qazi se karun main
tauba-shikani ko hai meri mul ki ishaarat
mil baiTh meri aankhon mein hai saat-e-nek aaj
ye chashm taraazu hain tere tul ki ishaarat
hai bais-e-jamiyyat-e-dil ek jahan ki
ai shoKH pareshani-e-kakul ki ishaarat
taqwa ke nahin bar se qad KHam tera ai shaiKH
ek KHalq mein mashhur hai is pul ki ishaarat
yaad aae teri zulf na mujh ko jo chaman mein
de tab mere dil ko na sumbul ki ishaarat
ushshaq ko tujh chashm ke hajat nahin mai ki
behosh kare 'sauda' ko qulqul ki ishaarat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.