haTa do chehre se gar dupaTTa tum apne ai lala-fam aadha
haTa do chehre se gar dupaTTa tum apne ai lala-fam aadha
Mirza Asman Jah Anjum
MORE BYMirza Asman Jah Anjum
haTā do chehre se gar dupaTTa tum apne ai lāla-fām aadhā
to ho ye sābit ki niklā abr-e-siyah se māh-e-tamām aadhā
huā to hai tere hijr meñ dil hamārā jal kar kabāb saaqī
kasar agar hai to itnī hī hai ki puḳhta aadhā hai ḳhaam aadhā
yahāñ to dil ko mire jalāyā vahāñ jalā.eñge jism merā
ye hashr par kyuuñ uThā rakhā hai huzūr ne intiqām aadhā
hamārī ulfat kā zikr sun kar adū nikāle bhī shiq to kyūñ-kar
ki lafz-e-shiq meñ bhī to ye shiq hai ki hai ye āshiq kā naam aadhā
ye charke de de ke tū ne mujh ko jo nīm-jāñ kar rakhā hai nāhaq
halāl kar Daal ab to zālim huā hai jiinā harām aadhā
ye kaisī dariyā-dilī hai saaqī havas bhī dil kī huī na puurī
jo kī ināyat bhī to adhūrī agar diyā bhī to jaam aadhā
nazar jo paḌ jaa.e us ke qāmat pe bas qayāmat hī aa.e 'anjum'
zamīñ meñ gaḌ jaa.e sarv ḳhajlat se us kī vaqt-e-ḳhirām aadhā
haTa do chehre se gar dupaTTa tum apne ai lala-fam aadha
to ho ye sabit ki nikla abr-e-siyah se mah-e-tamam aadha
hua to hai tere hijr mein dil hamara jal kar kabab saqi
kasar agar hai to itni hi hai ki puKHta aadha hai KHam aadha
yahan to dil ko mere jalaya wahan jalaenge jism mera
ye hashr par kyun uTha rakha hai huzur ne intiqam aadha
hamari ulfat ka zikr sun kar adu nikale bhi shiq to kyun-kar
ki lafz-e-shiq mein bhi to ye shiq hai ki hai ye aashiq ka nam aadha
ye charke de de ke tu ne mujh ko jo nim-jaan kar rakha hai nahaq
halal kar Dal ab to zalim hua hai jina haram aadha
ye kaisi dariya-dili hai saqi hawas bhi dil ki hui na puri
jo ki inayat bhi to adhuri agar diya bhi to jam aadha
nazar jo paD jae us ke qamat pe bas qayamat hi aae 'anjum'
zamin mein gaD jae sarw KHajlat se us ki waqt-e-KHiram aadha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.