haTaenge wo chehre se naqab aahista aahista
haTā.eñge vo chehre se naqāb āhista āhista
ki hotā hai tulū’-e-āftāb āhista āhista
agar Dhalnā to Dhalnā ai shabāb āhista āhista
ki Dhaltā jis tarah hai māhtāb āhista āhista
nigāh-e-mast-e-sāqī dekh lenā shart hai zāhid
zabāñ ko lag hī jaatī hai sharāb āhista āhista
irādoñ ko mire ik tāle’-e-bedār milne do
haqīqat meñ badal jā.eñge ḳhvāb āhista āhista
zamāne kī jabīñ se miT rahā hai dāġh-e-mahkūmī
ye kaisā aa rahā hai inqalāb āhista āhista
'amar' ab tark-e-'isyāñ lāzmī mā'lūm hotā hai
ye daftar ho gayā hai be-hisāb āhista āhista
haTaenge wo chehre se naqab aahista aahista
ki hota hai tulu’-e-aftab aahista aahista
agar Dhalna to Dhalna ai shabab aahista aahista
ki Dhalta jis tarah hai mahtab aahista aahista
nigah-e-mast-e-saqi dekh lena shart hai zahid
zaban ko lag hi jati hai sharab aahista aahista
iradon ko mere ek tale’-e-bedar milne do
haqiqat mein badal jaenge KHwab aahista aahista
zamane ki jabin se miT raha hai dagh-e-mahkumi
ye kaisa aa raha hai inqalab aahista aahista
'amar' ab tark-e-'isyan lazmi ma'lum hota hai
ye daftar ho gaya hai be-hisab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.