hatheli par wo peshani rahegi
hathelī par vo peshānī rahegī
mujhe bhī kuchh pareshānī rahegī
tujhe mil kar vo lauT aa.egā aur phir
bahut din us ko hairānī rahegī
ajab hai ḳhud hī tujh se duur aa kar
mujhe terī pareshānī rahegī
maiñ chhoḌ ā.ūñgī ghar aur mere pīchhe
mire ghar merī vīrānī rahegī
tujhe milnā nahīñ ye baat tai hai
magar ye baat imkānī rahegī
hatheli par wo peshani rahegi
mujhe bhi kuchh pareshani rahegi
tujhe mil kar wo lauT aaega aur phir
bahut din us ko hairani rahegi
ajab hai KHud hi tujh se dur aa kar
mujhe teri pareshani rahegi
main chhoD aaungi ghar aur mere pichhe
mere ghar meri virani rahegi
tujhe milna nahin ye baat tai hai
magar ye baat imkani rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.